Monday 15 September 2014

Signal ke uss paar #dakssh


Kabhi goongi tasveerein bol uthti hain,
Kabhi insaan khamosh ho jaata hai,
Sab kehtey hain sabki apni soch hai,
Phir kyun ess ilm se sankoch hai...


Kal bezaar si bheedh mein ek shakl mili,
Nihayiat gandi beshakl si duniya mein,
Maasum si koshish ne kadam badhaya,
Mere bhi jaaney man mein kya aaya,
Kya karogi aagey chal kar,
Mainey Pucha...
Aagey mera ghar hai signal ke uss paar,
Jaungi Khana khaa ke so jaungi...

Main hansa ek pal ko magar,
Phir sochney laga ke kya soch ke poocha tha mainey kya soch ke jawab diya ess nanhi titli ne... Horn ki awaaz mein ehsaas dhamakey ki tarah udh gaye, Aur main rickshaw mein baitha uss shakl ko ojhal hotey huye dekhta raha... Apni sochon mein uljha main bhool hi gaya ke usko bhi darkaar thi mujhsey, magar mainey sawaal jawab mein laal batti kaa waqt zaaya kar diya aur kitney hi samajhdaar logon ki bheedh mein jazb ho gaya...

Aaj ussi signal se guzra hoon... Beshakal Bezaar bheedh aaj bhi hai. Bass woh titli nahin jo shayad laal batti ke uss taraf kahin udhney ki jugat mein lagi hogi...

Chaliye jald milengey phir kisi signal ke ess aur... Serve Humanity... http://www.daksshajitsingh.com

1 comment:

  1. Bahot khoob..Sab log bahot kuch dekhte hai roz mager koi aise sochta nahi..kabhi kabhi sharm aati hai khud par..kyun hum iss nazar se nahi dekh sakte..kyun chhoti chhoti khushiyon se mehroom rehte hain ?.. Bhagwan ya shaitaan banneke chakkar me insaan bhi reh nahi paate..hummm humein bhi apni nazar baksh do pyare.....

    ReplyDelete