Wednesday 17 September 2014

PARINDEY...#dakssh

Kiski aas mein baithey hain,
Kabsey pareshan parindey,
Hai koi to magar kaun hai woh,
Jiski talash mein hain naadan parindey...
Kiski aas mein baithey hain,
Kabsey pareshan parindey...

Ho sakta hai bilkul waisa ho,
Jaisa tum kehtey ho waisa ho,
Magar kaash kabhi aisa ho,
Har shaks parindon jaisa ho,
Seedhey se samajh aatey hain aasan parindey...
Kiski aas mein baithey hain,
Kabsey pareshan parindey...Dakssh Ajit Singh http://www.daksshajitsingh.com 

Monday 15 September 2014

Signal ke uss paar #dakssh


Kabhi goongi tasveerein bol uthti hain,
Kabhi insaan khamosh ho jaata hai,
Sab kehtey hain sabki apni soch hai,
Phir kyun ess ilm se sankoch hai...


Kal bezaar si bheedh mein ek shakl mili,
Nihayiat gandi beshakl si duniya mein,
Maasum si koshish ne kadam badhaya,
Mere bhi jaaney man mein kya aaya,
Kya karogi aagey chal kar,
Mainey Pucha...
Aagey mera ghar hai signal ke uss paar,
Jaungi Khana khaa ke so jaungi...

Main hansa ek pal ko magar,
Phir sochney laga ke kya soch ke poocha tha mainey kya soch ke jawab diya ess nanhi titli ne... Horn ki awaaz mein ehsaas dhamakey ki tarah udh gaye, Aur main rickshaw mein baitha uss shakl ko ojhal hotey huye dekhta raha... Apni sochon mein uljha main bhool hi gaya ke usko bhi darkaar thi mujhsey, magar mainey sawaal jawab mein laal batti kaa waqt zaaya kar diya aur kitney hi samajhdaar logon ki bheedh mein jazb ho gaya...

Aaj ussi signal se guzra hoon... Beshakal Bezaar bheedh aaj bhi hai. Bass woh titli nahin jo shayad laal batti ke uss taraf kahin udhney ki jugat mein lagi hogi...

Chaliye jald milengey phir kisi signal ke ess aur... Serve Humanity... http://www.daksshajitsingh.com

Monday 8 September 2014

Kursi sab kuch bayan karti hai…
Kursi ne sab dekha hai,Kursi sab kuch bayan karti hai, Majdoor se leke mantri tak...Thaane mein baithe santri tagKursi sab kuch bayan karti hai…Puraney ghar mein jhuki huyi kursi,Jispe buzurg ko baithna bhaata tha…Ab langdhi ho chuki ess kursi kaa,Kabadh ki dukan mein thikana hai…13 saal kaa gopal ab iss pe baithta hai,Jab maalik dopehar ko apne ghar jaata hai…Pasine se latpat phatti huyi baniyan mein,Yeh pighle huye gopal ko taaza karti hai…Buzurg se leke gopal tak,Kursi sab kuch bayan karti hai…Kursi ne sab dekha hai,Kisi ko kapdhe utaarte huye,Phir majboori ho yaa marzi se,Bikhre baalon ko sanwarte huye…Kursi ne sab dekha hai…Insaan se haiwaan tak,Subah se leke shaam tak,Kursi sab kuch bayan karti hai…Deenu ki bachi kaa aatamdaah ho,Apney hi bayan se phirta gawah ho…Kursi ne sab dekha hai…Mariz ko maut se ladhte huye,Gareeb ko khaaki se darte huye…Kursi ne sab dekha hai…Jebon mein nott bharne tak,Maut se pehley marne tak…Kursi sab kuch bayan karti hai…Dakssh Ajit Singh